jhuT

ye chhan-chhan ki aawaz
jo tum sun rahe ho

meri pael ki nahin hai
ye aawaz hai

un masum sapnon ki
jo haqiqat ke farsh par

har pal
ghunghruon ki manind tut kar

bikhar rahe hain
ye khan-khanahat ki aawaz

jo meri chudiyon si jaan padti hai
ye aawaz hai

un sakht bediyon ki
jo mere hathon ko

tumhaare hathon ki or badhne se
rok rahi hain

meri aawaz mein jhalakti khushi
aur honton par saji muskurahat

sirf ek yahi jhut
tumhein khush dekhne ke liye

ye lab bar bar
har bar dohraate hain

magar
sab kuchh jaante hue bhi ye dil

kuchh bhi manne ko tayyar nahin
ye ab bhi chahta hai

in
bikhre sapnon ko

apni palkon se samet kar
tumhaari aankhon mein sajaana

in
sakht bediyon ke bandhan mein

tumhein apne sath bandh lena
aur ek bar phir

in jhute honton se nahin
sachche dil se

dil khol kar
muskurana


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close