juz teri aankhon ke

juz teri aankhon ke kin aankhon ne
lutf ka hath rakha dard ki peshani par

pyar ki aankhon se aansu pochhe
narmiyan

lamha-e-wasl ki manind
dil-o-jaan mein utarti hi chali jati hain

hijr ki sham hai dhal jaegi
wasl ka lamha gurezan hai pighal jaega

tere rukhsar ki dahki hui rangin shafaq
aur bhi surkh hui

tere sulge hue honton ke mahakte shoale
aur bhi tez hue

kab chhalak jae na jaane teri labrez wafa aankhon se
mahr ki mai

kab nikal aae tere pyar ka chand
tod de halqa-e-zanjir-e-shab-o-roz

ki ye silsila-e-karb-o-alam khatm to ho
aur ho jae junun aawara

tu mere halqa-e-aghosh mein aa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close