kale mausamon ki aaKHiri raat

tab hazaron andheron se
ek raushni ki kiran phut kar

sard viran kamre ke tarik diwar-o-dar se ulajhne lagi
aur kamre mein phirte hue

saikadon zard zarre
sadaon ke aaghosh par

bilbilate sisakte hue
meri jaanib badhe

main ne apni shahadat ki ungli uthai
zard zarron se goya hua

dosto
aao badhte chalen

raushni ki taraf raushni ki taraf
raushni jo hamari tamannaon ki pyas hai

raushni ki taraf raushni ki taraf
raushni jo hamari tamannaon ki pyas hai

raushni jo hamari tamannaon ki aas hai
zard zarre mere sath badhne lage

raushni ki taraf raushni ki taraf
chand zarre ki jin ki ragon mein

siyah raat ki zulmaten bas chuki thin
meri baaton pe hansne lage

aur hanste rahe
tab hazaron andheron ke sine mein

phaila hua ek tilism
raushni ki tab-o-tab se

tutne ke liye
aur aage badha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close