kashif miyan bahadur

bhuton ki ek haweli mein kashif miyan gae
aisa lade ki bhuton ke chhakke chhuda diye

ek bhut kud phand ke chimani pe chadh gaya
aur dusra dahad ke chhat phadne laga

sab se bada jo tha wahin dham se ludhak raha
kashif ke ek ghunse mein chin bolna pada

aur chhote-mote bhuton ka kya haal puchhna
chhupne ki kone kone mein wo dhundte the ja

koi chhupa tha tute hue takht ke tale
koi pukarta tha bachao ki hum mare

sab moti chhoti bhutniyan chikhne lagin
baal apne noch noch ke munh pitne lagin

chhote-bade bahut the wahan bhut bhutni
kashif miyan ke aage kisi ki nahin chali

sab hath bandh bandh ke rote pukarte
kashif miyan se kahne lage kijiye muaf

hum bhul ke bhi ab na haweli mein aaenge
aa bhi gae to aap se kab bachne paenge

lekin bade ghazab ki tabhi baat ye hui
is shor aur sharabe se aankh un ki khul gai

tab ye pata chala unhen ye sab to khwab tha
jo bhi ho khwab un ka bada la-jawab tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close