kashshu rani

kashshu rani kashshu rani
karti ho apni man-mani

ek ek baat pe zid karti ho
karti ho kyon na-farmani

sara sabaq to rat leti ho
jaise hai ye koi kahani

samajh-bujh kar padhna sikho
chhodo ab apni nadani

apna kaam waqt par karna
achchhe bachchon ki hai nishani

mel-jol se rahna achchha
lab par lana mithi bani

achchhi nazm kahin bhi sun lo
kar lo us ko yaad zabani

saf aur suthra rahna sikho
gande rahna hai nadani

apni kitabon ko mat phado
ho jaen kitni bhi purani

'ilm sikhna farz hai sun lo
'ilm se jati hai nadani

khana daen hath se khao
tin sans mein pina pani

aapas mein mil-jul kar rahna
bair na rakhna kisi se jaani

baat badon ki jis ne mani
sach puchho to wahi hai gyani


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close