kaTi pahaDi

hamare shahr ki aabaadi ke darmiyan
kisi bhi samjhaute ke imkan ko mustarad karte hue

shahr ke shumal maghrib mein
dur tak phaili hui pahadi mein ek shigaf dal diya gaya hai

pahadi ko katne ka ye achhuta khayal
shahr ke kuchh meamaron ke zehn mein kya aaya

shahr ke makanon ke dar-o-diwar
is nai tafriq ke shor-o-shar se

tap kar surkh ho gae
aur shahr ke upar mandlane lage

qismat aazmaun ke azaem
shahr ko ab nae zawiyon se dekha jaane laga

ab is pahadi mein
kai ek aise maqamat dikhai dene lage hain

jahan se use mazid kata
ya kamzor kiya ja sakta hai

pahadi ke katte hi
us pas ki aabaadiyon ne apni hudud ko

nae sire se tartib de liya hai
katao se shahr mein hawa ka dabao

ghair-mustahkam ho gaya hai
gadiyon ke route badalne lage

jami jamai aabaadi
mutazalzal ho gai

bazaron aur kharidaron ke rang rup
aur chehre mohre tabdil ho gae hain

log shah-rahon
makanon

parkon
schoolon aur ibaadat-gahon ko

yun dekhne lage
jaise un ke bich bhi unhen

shigaf dikhai dene lage hon
kati hui pahadi ne

hum sab ke chehron ke bich
ek mustaqil darad dal di hai

in meamaron se zyaada
jinhon ne pahadi mein shigaf dala

hum har us shai se khauf-zada hain
jis mein ba-zahir koi shigaf ya darad dikhai nahin deti

par jis ke darmiyan se
mustaqil jhank rahi hai

kati hui pahadi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close