jo din kabhi nahin bita wo din kab aaega inhi dinon mein is ek din ko kaun dekhega us ek din ko jo suraj ki rakh mein ghaltan inhi dinon ki tahon mein hai kaun dekhega us ek din ko jo hai umr ke zawal ka din inhin dinon mein numu-yab kaun dekhega ye ek sans jhamelon-bhari jugon mein rachi is apni sans mein kaun apna ant dekhega is apni mitti mein jo kuchh amit hai mitti hai jo din in aankhon ne dekha hai kaun dekhega main roz idhar se guzarta hun kaun dekhta hai main jab idhar se na guzrunga kaun dekhega do-ruya sahil-e-diwar aur pas-e-diwar ek aainon ka samundar hai kaun dekhega hazar chehre khud-ara hain kaun jhankega mere na hone ki honi ko kaun dekhega tadakh ke gard ki tah se agar kahin kuchh phul khile bhi, koi to dekhega kaun dekhega