kaun samjhe tujhe

shairi
tu parindon ki chonchon pe ugti hui naghmagi

tu darakhton ki chhanw mein palti hui sadgi
tu bahaaron ke daman mein bikhri hui be-khudi

tu sulagte sawalon ke baatin mein bahki hui aarzu
tu hai masum bachche ki aankhon mein hairat-kada

kaun samjhe tujhe
tirgi raushni zindagi bebasi aadmi

aur ek kaamani
kaun teri zaban se hua aashna

kaun samjha tujhe
paniyon ki ladai mein maujon ne teri koi

baat mani hai kya
sarhadon par bhadakti hui aag ne

tere qadmon pe bosa diya hai kabhi
shairi

aa zara dekh le
mere pahlu mein bargad ke pale hue waswase

apne mathe se chup ki lakiren mita aur bata
istiaron se bargad ki shakhen bhi katti hain kya

shairi
tujh se to

kaamani ka koi ek jazba bhi mahka nahin
tujh se duniya mein kya inqalab aaega

shairi
dekh mere sirhane tamannaen kitni hain zanjir-e-pa

kitne khwabon ke tute hue
par hain bikhre hue

aa ki mil kar ajal ke kisi
gosha-e-nam mein jaane ko rakht-e-safar bandh len

kaun samjha tujhe kaun samjhe tujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close