KHana-abaadi

tarane gunj uthe hain faza mein shadyanon ke
hua hai itr-agin zarra zarra muskuraata hai

magar dur ek afsurda makan mein sard bistar par
koi dil hai ki har aahat pe yun hi chaunk jata hai

meri aankhon mein aansu aa gae nadida aankhon ke
mere dil mein koi ghamgin naghma sarsaraata hai

ye rasm-e-inqitaa ahd-e-ulfat ye hayat-e-nau
mohabbat ro rahi hai aur tamaddun muskuraata hai

ye shadi khana-abaadi ho mere mohtaram bhai
mubarak kah nahin sakta mera dil kanp jata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close