KHargosh ka gham

harif kaun tha ghaliz bad-numa sa jaanwar
wo be-khabar

jo rengta hua chala
jo rengta chala gaya

na jaane kis jahan se tumhaari rah mein aa gaya
usul ban ke zindagi ke aasman pe chha gaya

tumhein ye gham sata raha hai aaj bhi
ghalat ghadi mein nind tum ko aa gai

sitam ajib dha gai
mazaq hi mazaq mein

zamane-bhar ke samne tumhaara sar jhuka gai
yaqin se farar tak

hazar marhale tumhaare zehn se guzar gae
dil-o-nazar ko waswason se bhar gae

shikast ki khalish badi shadid thi
kisi tarah na mit saki

huruf-e-pur-khatar se faislon ko tolti rahi
ana ke muztarib lahu mein zahr gholti rahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close