khel ruton ka

ek rut aae ek jae
hum rut rut chaunken

karwat badlen so jaen
masum gulab phuwaren

be-lafz tahayyur
baadal chamkile safine

maidan thahra hua pani
sae wo jazire dhani

ujli shadabi aankhen
bhaunra to hansi fawwara

phir dhul dhuen ka parda
aana jaana chaunkana

ek khel ruton ka
apni nazron se ojhal

ek sayyara dil apna
anjaane kohar mein duba

uryan pur-nam ka
shaffaf raqiq ujala

wo ghulte pighalte khandar
wo sannata is mein pighalta

dekha to qalam bhi apna
ek din pighla pighla tha

shera shera shayad ek
tair tha jo chahkara

dhundle dhundle ghaaron mein
wo ghumte phirte raste

aawaz ke lahre ko phir
bahar le aae

tapte suraj ke niche
suraj ke niche jharna

hamhama na thamne wala
raushan pani ka

bauchhaar ka shor hawa mein
udti hui jagmag thandi

simabi chhalki chhalki
suraj ke niche jharna

kirnon ke liye aaina
patthar ke sarapa

un ki
patthar khamoshi

ek chakna-chur chhanaka
shishe ka zarf tha koi

kafir kafir sargoshi
barham sargarm hawa ki

kafir kafir wo guchchhe
phulon ke phulon ke khazane

unchi shakhon se jhukae
kis ne

kiya tanha tum ne
kafir kafir sargoshi

baaten aur kitni baaten
jari thin kitne mausam

badle kitni taqdiren
tahriren un ke ubharne

mitne mein apna ubharna
mitna

mitte mitte bhi
hum faiq sab se kahna

kah kar khil uthna
ab ek sapna lagta hai

rut kajal pighla pighla
rut gahra jal bisrawa

ek khak-basar aangan se
ugta hua tara naghma

jine ka jawaz hai kis ka
apna nahin phir bhi kitna

apna lagta hai
is par sar dhunte dhunte

mit jae yaad na aae
pairaya ma-o-shuma ka

ye kaun si rut hai
kis se

puchhen
kya nam hai is ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close