khiDki andhi ho chuki hai

khidki andhi ho chuki hai
dhul ki chadar mein apna munh chhupae

kali sadken so chuki hain
dhup ki nangi chudelon ke sulagte qahqahon se

ja-ba-ja pedon ke sae jal rahe hain
mez par gul-dan mein hanste hue phulon se

mithe lams ki khushbu ka jharna bah raha hai
ek saya aaine ke kan mein kuchh kah raha hai

ahd-e-rafta ki gilahri
khub-surat dum uthae

roti ke tukde ko danton mein dabae bhagti hai
ek makdi

maghribi kone mein jala bun rahi hai
shahr khali ho raha hai

kya tum apni zindagi se mutmain ho?
han nahin hun

khair jaane do suno
masjid ka wo budha moazzin

khair ki jaanib bulata hai tumhein
apna gham kis se kahen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close