KHidmat-e-KHalq

kash main ek ped ban jata
ped ban kar jahan ke kaam aata

raat din ek jagah khada rahta
garmi sardi ki shiddaten sahta

khub barish mein bhig jata magar
shikwa hargiz na lata main lab par

dhup mein log mere pas aate
mere sae mein wo sukun pate

chhanw mein aa ke baith jate parind
phul phal pattiyon se sab meri

puri karte zaruraten apni
main kisi ghar mein indhan hi banta

ya imarat ke kaam mein aata
al-gharaz jis tarah bhi ban padta

khidmat-e-khalq mein laga rahta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close