suraj har roz meri aankhon mein bhari hui aur shayad mari hui nind ko dekh kar apne din ka aaghaz karta hai main ghar se daftar jati hui sadak par rengta hua aane wali naslon par ehsan karta hun main daftar apni marzi se jata hun lekin daftar mein meri marzi ka kaam nahin hota main kaghaz par khwab aur dukh ek sath likh kar ghar lautta hun ghar ki be-tartibi aur unghti hui diwaren mera istiqbaal karti hain main bistar par sone ke liye lautta hun aur jagta rahta hun wo diary mein khud-sakhta dukh likhti hai aur sukun se so jati hai