KHuda ka ghar nahin koi

khuda ka ghar nahin koi
bahut pahle hamare ganw ke akasr buzurgon ne

use dekha tha
puja tha

yahin tha wo
yahin bachchon ki aankhon mein

lahakte sabz pedon mein
wo rahta tha

hawaon mein mahakta tha
nadi ke sath bahta tha

hamare pas wo aankhen kahan hain
jo pahadi par

chamakti
bolti

aawaz ko dekhen
hamare kan bahre hain

hamari ruh andhi hai
hamare waste

ab phul khilte hain
na konpal gungunati hai

na khamoshi akele mein sunahre git gati hai
hamara ahd!

man ke pet se andha hai bahra hai
hamare aage pichhe

maut ka tarik pahra hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close