KHudaon se kah do

jis din mujhe maut aae
us din barish ki wo jhadi lage

jise thamna na aata ho
log barish aur aansuon mein

tamiz na kar saken
jis din mujhe maut aae

itne phul zamin par khilen
ki kisi aur chiz par nazar na thahr sake

charaghon ki lawen diye chhod kar
mere sath sath chalen

baaten karti hui
muskuraati hui

jis din mujhe maut aae
us din sare ghonslon mein

sare parindon ke bachchon ke par nikal aaen
sari sargoshiyan jal-tarang lagen

aur sari siskiyan nuqrai zamzame ban jaen
jis din mujhe maut aae

maut meri ek shart man kar aae
pahle jite-ji mujh se mulaqat kare

mere ghar-angan mein mere sath khele
jine ka matlab jaane

phir apni man-mani kare
jis din mujhe maut aae

us din suraj ghurub hona bhul jae
ki raushni ko mere sath dafn nahin hona chahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close