KHudi ka raaz

meri har fikr mein tufan ki tughyani hai
aur mere shauq mein jazbon ki farawani hai

yun junun bahta hai dariya ki rawani jaise
aur meri soch mein palti hai kahani jaise

main ne to himmat-e-mardan-e-khuda sikhi hai
main ne tute hue lahjon ki dua sikhi hai

main ne har rang ki khushbu ki ada sikhi hai
main ne har zahir o baatil ka uthaya parda

aur taskhir-e-zamana ki lagan dil mein liye
apne hathon mein mashaqqat ke kade pahne hain

main ne har aql-o-khirad fahm-o-farasat ka sahaara le kar
yun zamane ko baratne ke hunar sikhe hain

main ne jaane hain sabhi raaz-e-nihan aur jahan
aur jaana hai khudi hai to makan mera hai

aasman mera
zamin meri

jahan mera hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close