khwab fan ka sarmaya khwab fan ki punji hai khwab mujh se mat chhino khwab dekhne do mujhe khwab bantne do mujhe kufr rad kiya main ne raushni ko din jaana ahrman ke beton ko main ne ahrman jaana un ko sar-nigun dekha bargah-e-yazdan mein aaftab-daman mein mahtab-jebon mein main ne bhar liye kitne tirgi mitane ko zindagi ki rahon se mang main ne dharti ki rang-o-nur se bhar di kahkashan ki chadar se dhak diya badan us ka chaar-su dhanak phuti chaar-su shafaq phuli aaftab daman mein mahtab-jebon mein meri jagmagane do khwab meri punji hai khwab mera sarmaya khwab mujh se mat chhino khwab mujh se mat chhino