KHwab

hisar-e-ranj mein rahte hue tujhe chahun
ghubar-e-rah-e-yaqin mein sada tujhe dekhun

jabin-e-waqt pe har-an bas tujhe likkhun
charagh-e-hijr banun raat-bhar teri aankhon

ke jangalon mein karun raushni udaun teri
sunahri nind andheron bhare makanon mein

tere wajud se apna wajud bandh ke main
samundaron mein karun raqs jal-pari ki tarah

sunaun shairi tujh par likhi ghazalon ko
banaun lams tera itr mein karun nilam

tamam-shahr ke aage use bane jannat
har ek daricha khule jo qaba teri hi mahak

uthe jahan se bhi guzrun faqat teri khushbu
kare tawaf mera ku-ba-ku faqat to ho

ai shakhs tere jamal-e-jawan ki saugand
dhadak raha hai hamesha meri ragon mein tu

tera sarapa adab ki kitab jaisa hai
tujhe padhun tujhe likkhun tujhe sunun har-waqt

kisi sahife ki tafsir tarjuma tera jism
kisi qadim qalam se likha hua tera ism

kisi charagh se milta hua tera chehra
kisi dahakti hui sham si teri aankhen

kisi bikharti hui dastan si zulfen
kisi gulab se aarasta tape hue gal

larazte hont shikasta-sukhan dara lahja
chamakte hath sulagti hui jabin pe jami

ghamon ki gard mujhe ki rahi hai chum ke main
nidhaal pair tere aable ginun sare

thakan sari utarun teri dabaun sar
pilaun sharbat-e-sandal sanwar ke tere baal

karun main pyar se kanghi likhun safar pe tere
main aisi nazm koi jo tujhe rakhe sarsabz

teri bujhi hui aankhen bharun main khwabon se
tere dukhon ka sukhon se sada ilaj karun

sunaun nazm tumhein main gale laga ke nai
tumhaari shirt pe mein aansuon se kaj karun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close