lazzat-e-irfan

rang-e-fitrat hai wajh-e-hairani
aql hai aur haya-e-nadani

raaz-dan muddaa ko kahte hain
husn ulfat ka dagh-e-peshani

husn-e-baqi ne dil ko khinch liya
rukhsat ai husn-e-hasti-e-fani

dil hai waqf-e-raja-e-rahm-o-karam
jaan hai nazr-e-raza-e-rabbani

ab main samjhi ki hai fana-e-khudi
imbisat-e-bahisht-e-lafani

gham na kar hai naqib-e-abr-e-bahaar
khushki-e-mausam-e-zamistani

dil-e-sad-para ke alam gin lun
dekhi jaegi subha-gardani

kar sake tai na mulk-e-irfan ko
rumi o maghribi o kirmani

duru-e-bazm-e-dost ke gham mein
mahw-e-afghan hai ek afghani

arsh ke kangare pe tair-e-quds
raat karta tha yun khush-ilhani

ki hai insan tilism-e-shan-e-khuda
qadr apni na is ne pahchani

band kin us ne jab zara aankhen
khul gaya raaz-e-bazm-e-imkani

chaara-e-ruh falsafi hai na shaikh
ek wahmi hai ek khafaqani

kasrat-e-in-o-an mein wahdat-e-dost
kunj-e-nayab ki farawani

shaikh ranj-e-bayan ka dar na kare
la-bayan hai ye kaif-e-wajdani

mutashakkik hai aur shikayat-e-hijr
nuzhat aur shukr-e-lutf-e-pinhani


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close