log aurat ko faqat jism samajh lete hain

log aurat ko faqat jism samajh lete hain
ruh bhi hoti hai us mein ye kahan sochte hain

ruh kya hoti hai is se unhen matlab hi nahin
wo to bas tan ke taqazon ka kaha mante hain

ruh mar jate hain to ye jism hai chalti hui lash
is haqiqat ko na samajhte hain na pahchante hain

kitni sadiyon se ye wahshat ka chalan jari hai
kitni sadiyon se hai qaem ye gunahon ka riwaj

log aurat ki har ek chikh ko naghma samjhe
wo qabilon ka zamana ho ki shahron ka riwaj

jabr se nasl badhe zulm se tan mel karen
ye amal hum mein hai be-ilm parindon mein nahin

hum jo insanon ki tahzib liye phirte hain
hum sa wahshi koi jangal ke darindon mein nahin

ek bujhi ruh lute jism ke dhanche mein liye
sochti hun main kahan ja ke muqaddar phodun

main na zinda hun ki marne ka sahaara dhundun
aur na murda hun ki jine ke ghamon se chhutun

kaun batlaega mujh ko kise ja kar puchhun
zindagi qahr ke sanchon mein dhalegi kab tak

kab talak aankh na kholega zamane ka zamir
zulm aur jabr ki ye rit chalegi kab tak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close