maal

main ne jab bhi palat ke dekha hai
dhund kuchh aaine se chhuti hai

aks kuchh aaine mein ubhre hain
main ne dekha hai ek shikasta par

zindagi se tamam-tar aari
jaise mazi ho! ahd-e-rafta ho

ek na-sufta gauhar-e-shaffaf
jaise ek aaftab-e-taza ho

roz-e-ainda, roz-e-farda ho
ek shahin-e-mawara se pare

ek nikhri hui faza-e-basit
haal ho jaise ahd-e-hazir ho!

dhund phir aaine se lipti hai
aks dhundla sa main ne dekha hai

pech-dar-pech jal makdi ka!
ujla ujla sa, wo rupahla sa

jis ke taron mein maut pinhan hai
ek makkhi hai nim-jaan majbur

jaane kis daur ka ye khaka hai!
jaane kis daur ke tasawwur se

dil mera kanp kanp jata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close