magarmachh ne mujhe nigla hua hai

magarmachh ne mujhe nigla hua hai
ek janin-e-na-tawan hun

jis ghadi rakkhi gai buniyaad meri
us ghadi se

tirgi ke pet mein hun
khun ki tarsil

aanwal se ghiza
jari hai

kachchi aankh ke aage tani
mauhum si jhilli hata kar

dekhta hun!
dekhta hun

garm gahre les ke dariya mein
kachhuon, meindakon

jal-kekdon ke parachon mein
ojhadi ke khurdure reshon mein

salim hun
nabud o bud ke tarik andeshon mein

bahar kaun hai
jo zat ke is khema-e-khakistari ke

pet ke phule hue
gadle ghubare par

azal se kan rakh kar sun raha hai
sar patakhne

hath panw marne
karwat badalne ki sada!

pani ka gahra shor hai
indar bhi bahar bhi

barahna jism se chimte hue hain
kai ke reze

mujhe phir se janam dene ki khatir
zachgi ke ek kalawe ne

ugalne ke kisi wade ne
sadiyon se

mujhe jakda hua hai
man

magarmachh ne mujhe nigla hua hai!!


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close