ek subh main bedar hua to khuda ghaeb tha ye behad tashwish ki baat thi mujhe us ki talash mein nikalna pada basti mein us ka nishan nahin mila main ne ek khoji se rabta kiya us ne khara dekh kar bataya khuda ko burda-faroshon ne ighwa kar liya hai main ne police se rabta kiya thanedar ne khuda ki report darj karne se inkar kar diya main adalat mein pesh hua qazi ne khuda ka muqaddama sunne se inkar kar diya main ne darbar mein haziri di hakim ne khuda ka zikr sunne se inkar kar diya chal chal kar main rasta bhul gaya bhatakte bhatakte ek begar camp ja pahuncha wahan rang-birangi topiyon wale ighwa-karon ki mahfil jami thi khuda bhi maujud tha us ke pairon mein bediyan padi thin lekin hath khule hue the jin se wo ighwa-karon ke mutalbe par jannat ke baghon aur jahannum ke tanduron ke malikana huquq ki filon par be-takan dastakhat kiye ja raha tha