maha-bhaarat

bin-laden
tora-bora mein hota

to aisi mahshari mar
jis se

pahad surma ban gae
zamin rakh ho gai

aasman siyah pad gaya
kab ka khatm ho chuka hota

magar kurra-e-arz par jagah jagah
haibatnak aatishin phunkaren

karbnak dil-doz chikhen
is haqiqat ki ghammaz hain

ki bin-laden
mera nahin

zinda hai
ye phunkaren aur chikhen

is baat ki bhi dalil hain
ki laden

tora-bora ke alawa
dusre khitton mein bhi maujud hai

sawal ye hai ki
laden khatm kyun nahin hua

kya wo waqai itna zabardast hai
ki sare jahan ki majmui taqat bhi

us ke aage hech hai
kya us ne aab-e-hayat pi li hai

ki kabhi mar nahin sakta
kya wo qafas bin gaya hai

ki apni khakistar se phir paida ho jata hai
kya wo shud sikandari hai

ki yajuj-majuj ki zabanen
use puri tarah chat nahin patin

kya wo rawan hai
ki us ka ek sar afghanistan mein

to baqi nau dusre jahan mein
aur kya us ne koi wardan pa liya hai

ki sar kat kar phir dhad se aa lagta hai
kya wo bhisham-pitama hai

ki apni achchha ke baghair mar nahin sakta
kya us ne apna clone bana liya hai

ki us ka khatma na-mumkin ho gaya hai
sawal ye bhi hai

ki mizailon ka nishana chuk kyun jata hai
kya un ke purze dhile hain

ki wo apna tawazun kho baithti hain
be-samti ka shikar ho jati hain

kya wo andhi hain
ki bin-laden ko dekh nahin patin

kya un ki binai kamzor hai
ki wo laden aur ghair-laden mein tamiz nahin kar patin

bin laden koi sach to nahin
ki shakuni ki chaal us ke aage nakaam ho jae

wo laksha girah se bach kar nikal jae
agyat-bass se wapas aa jae

us ka chir-haran na ho sake
tiron ki shayya par zinda rah jae

kahin aisa to nahin
ki missilen use marna hi nahin chahatin

agar aisa hai
to ye mahshari mar

kis ke liye
ye musalsal yalghaar

kyun
hairan-o-pareshan arjun

krukshetra mein chikhta phir raha hai
magar aaj ki maha-bhaarat mein

in sawalon ka jawab dene wala
koi kirshn nahin

koi kirshn nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close