mahatma-gandhi

suna raha hun tumhein dastan gandhi ki
zamane-bhar se nirali hai shan gandhi ki

rahe rahe na rahe is mein jaan gandhi ki
na ruk saki na rukegi zaban gandhi ki

yahi sabab hai jo wo dil se sab ko pyara hai
watan ka apne chamakta hua sitara hai

bana tha mast koi aur koi saudai
har ek samt thi ghaflat ki jab ghata chhai

to us ki aql-e-rasa kaam waqt par aai
mariz-e-mulk hai mamnun-e-chaara-farmai

nae khayal mein ek ek ka dil asir hua
udhar amir hua aur udhar faqir hua

jafa-o-jaur ne ki khub apni barbaadi
kharab-haal na dil raat kyun hun fariyaadi

bana diya tha qafas ka buri tarah aadi
magar hai shukr mila hum ko dars-e-azadi

zamana kahta hai gandhi mahatma wo hai
bashar nahin hai haqiqat mein dewta wo hai

jo dil mein yaad hai to lab pe nam us ka hai
jo hai to zikr faqat subh-o-sham us ka hai

bhalai sab ki ho jis se wo kaam us ka hai
jahan bhi jao wahin ehtiram us ka hai

uthae sar koi kya sar utha nahin sakta
muqable ke liye aage aa nahin sakta

kisi se us ko mohabbat kisi se ulfat hai
kisi ko us ki hai us ko kisi ki hasrat hai

wafa-o-lutf tarahhum ki khas aadat hai
gharaz karam hai mudaraat hai inayat hai

kisi ko dekh hi sakta nahin hai mushkil mein
ye baat kyun hai ki rakhta hai dard wo dil mein

wo rashk-e-sham-e-hidayat hai anjuman ke liye
wo misl-e-ruh-e-rawan unsur-e-badan ke liye

wo ek saghar-e-nau mahfil-e-kuhan ke liye
wo khas maslah-e-kul shaikh-o-barahman ke liye

lagan use hai ki sab malik-e-watan ho jaen
qafas se chhut ke zinat-dah-e-chaman ho jaen

jafa-shiar se hota hai bar-sar-e-paikar
na pas top na gola na qabze mein talwar

zamana taba-e-irshad hukm par tayyar
wo pak shakl se paida hain josh ke aasar

kisi khayal se charkhe ke bal pe ladta hai
khadi hai fauj ye tanha magar akadta hai

tarah tarah ke sitam dil par apne sahta hai
hazar koi kahe kuchh khamosh rahta hai

kahan sharik hain aankhon se khun bahta hai
suno suno ki ye ek kahne wala kahta hai

jo aabru tumhein rakhni ho josh mein aao
raho na be-khud-o-be-hosh hosh mein aao

usi ko ghere amir-o-gharib rahte hain
nadim-o-munish-o-yar-o-habib rahte hain

adab ke sath adab se adib rahte hain
nasib-war hain wo bade khush-nasib rahte hain

koi batae to yun dekh-bhaal kis ki hai
jo us se baat kare ye majal kis ki hai

rifah-e-am se raghbat hai aur matlab hai
anokhi baat nirali rawish naya dhab hai

yahi khayal tha pahle yahi khayal ab hai
faqat hai din yahi bas yahi to mazhab hai

agar baja hai to 'bismil' ki arz bhi sun lo
chaman hai samne do-chaar phul tum chun lo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close