jaante ho main hun kya main hun waishya pata hai main ne hai kya kya kiya main nachti hun kothon par khush hoti hun bus noton par har raat har raat main apna jism bechti hun itna dard main bus paison ke liye to sahti hun main logon ki raaten rangin karti hun har raat ye apradh sangin karti hun mera nam aam mein lene nahin note ke alawa meri zindagi ka koi nayak nahin zindagi mein mera na hai asitiw na koi iman samaj ke liye to main hun hi nahin insan agar hai to bas hai ek pahchan hun ek kothe wali karti hun apna hi jism nilam har raat meri ek nae gerahak ke sath hoti hai har raat meri aatma apni pahchan khoti hai meri man ka bhi to yahi kaam tha nahin jaanti mere pita ka kya nam tha jaan kar bhi kya kar leti wo bhi ek waishya thi kaam un ka logon ko sukh dena tha chinta nahin wirasat mein un se bas yahi ek kaam mila jis ke karan hi shayad mujhe jiwan mein kuchh na mila nahin nahin galti un ki nahin unhonne to padhana chaha tha par kya karen malkin ko ye bilkul nagawar tha na jae diya mujhe is narak se bahar na banne di koi pahchan un ke dabaw mein hi to mujhe khona pada mera iman ab logon ko bhi kya dosh dun jo mujh par thuk kar jate hain nahin jaante wo mera sach bas kuchh bhi kah jate hain dukh to khub hota hai par ab aadat si ho gai hai sochti hun kabhi kya meri ye aadat waqai sahi hai kya mujhe jine ka koi mauka milega kya mere jiwan mein bhi pyar ka phul khilega ham-safar nahin bas ek hamdard hi chahiye pahchan nahin thoda sa bas pyar hi chahiye iman nahin thodi si bas izzat hi chahiye arman hai bas ek koi waishya nahin nahin waishnawi kar bulae paise dekh kar nahin pyar de kar gale se lagae kisi ke ghar tutne ka nahin judne ka karan banna chahti hun bas ek bar kisi ke dikh ka niwaran banna chahti hun kisi ki biwi na sahi bahan banna chahti hun har bar ki tarah waishya nahin ek insan banna chahti hun jaanti hun aise sapne mere liye nahin hain par kya karun sapne mere bas mein nahin hain is liye har bar ye sapna aankh se bund ke sath baha deti hun phir kamre mein ja kar kisi gerahak ko wo sukh deti hun bas yahi mere jiwan ka sar hai ek hi mera kaam aur ye kaam hi mera sansar hai