main jab KHud se bichhaDti hun

meri palkon pe tabinda
teri aankhon ke aansu

mujhe tarik raaton mein
nae raste sujhate hain

wajudi wahimon ki sar-zaminon par
main jab khud se bichhadti hun

chamakti ret ke zarron ki surat
jab bikharti hun

mujhe wo apne nam se jod dete hain
mujhe khud se milate hain

main jab din ki bahut lambi masafat mein
udasi ki thakan se chur hoti hun

akele-pan ki wahshat mein
bahut majbur hoti hun

to gahri hanpti shamon ki dahlizon se
wo akasr mujhe dhire se

man! kah kar bulate hain
teri aankhon ke aansu

mujhe kaise anokhe silsilon se
ja milate hain!!


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close