maine raat se pucha

main ne raat se pucha
mere ghar se chori ho jaane wala khwab

tumhaare pas to nahin
mere ham-sae ke bachchon ka khwab

gharon mein baithi jawan ladkiyon ke khwab
shahr se hijrat kar jaane wale sare khwab

tumhaare pas to nahin?
raat meri aankhon mein jhank kar boli

itne sare khwabon ka chori ho jaana
aur shor na machna

itne sare khwabon ka qatl ho jaana
aur suragh na chalna

itni sari lashon ka dariya mein baha diya jaana
aur pani ka rang na badalna

kaise mumkin hai
tumhaari marzi ke baghair

tumhaari shirkat ke baghair
phir wo god mein uthaya hua chand

meri taraf badha kar boli:
is ke sar par hath rakho

aur qasam khao
apni be-gunahi ki

apni masumiyat ki
aur main us ka munh takta rah gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close