marne wale ke kamre mein

yun rag o pai mein ajal utri hai
hath sakit hain dua kya mangen

aankh khamosh hai, kya dekhegi
hont khwabida hain kya bolenge

ek sannata abad-taba-abad
johd-e-yak-umr ka hasil thahre

dard ka shola rag-e-jaan ka lahu
jins-e-be-maya the be-maya rahe

tera khak un ki kharidar bane
nikhat-e-gul ki tarah aawara

bu-e-jaan wusat-e-afaq mein gum
yak kaf-e-khak hai wo bhi kab tak?

subh ki os se aankhen dho lo
kamre se jhank ke bahar dekho

aise masruf tag-o-taz hain sab
jaise kal un ke muqaddar mein nahin

main tamashai hun har manzar ka
jaise kal mere muqaddar mein nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close