mathe ka jhumar

shahnai bajata hua ek nanha sa machchhar
pahuncha kisi maidan mein nale se nikal kar

maidan mein kuchh der bhatakta raha machchhar
kuchh kaam nahin tha to matakta raha machchhar

mausuf ne ek bail ko baitha hua paya
tab dil mein sawari ka zara shauq samaya

aaram se wo baith gaya sing ke upar
phir apne khayalat mein gum ho gaya machchhar

do ghante guzar jaane pe mausuf ne socha
is bail ko be-jurm-o-khata main ne dabocha

ye bail pichak jaega socha nahin main ne
ab kuchla gaya pisa gaya mere badan se

ye dabta raha surma bana tuti qayamat
lekin koi shikwa na kiya wah sharafat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close