mausam

asir-e-arzu hujum-e-be-aman
sharab roz-o-shab ki aatish-rawan mein

barhami ke qahqahon ki bazgasht
ab hamare darmiyan

ajib khwahishon ke bij bo rahi hai
mere waste jo ajnabi hai

us ko pas se guzarta dekh lun to us ki raushni
ko noch lun

jo us ke khun mein utar rahi hai
us ke ek pal ko dusre se jodti hai

tairti hai sans mein
hawa ki wo sharir mauj chhin lun

wo jaanwar hamari nasl ka nahin
wo kyun hanse wo kyun jiye

hamare ru-ba-ru hamari aarzu ke ru-ba-ru
wo is zamin pe kyun chale

ajib khwahishen ajab khwahishon ki ham-safar
har ek aaina magar hai dusre ke samne

ghaliz suraten ghaliz suraton ke samne
main ajnabi wo ajnabi

asir aarzu bhi magar siyah ka dil dil be-khabar
wo daera rawan hai jis ke har safar ki intiha

maqam-e-marg-e-tazgi maqam-e-marg-e-naghmagi
hawa nami safed dhup zard phul dekhte hi dekhte guzar gae

hamari aarzu ke bich mausamon pe chha gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close