meri talash mat karo

meri talash mat karo na mujh ko pa sakoge tum
jahan pahunch gaya hun main wahan na aa sakoge tum

tumhaare jism o jaan dil o nazar mein hun
tumhaare sath sath zindagi ke

har safar mein hun
tum apne aap se abhi nahin ho ru-shanas

taki dekhte mujhe khud apne aap mein kabhi
magar tum apne aap ko na dekh paoge abhi

abhi na apne aap se nazar mila sakoge tum
meri talash mat karo

na mujh ko pa sakoge tum
jahan pahunch gaya hun main

wahan na aa sakoge tum
raushni ke sehr-kar daere

bana raha hun zarra-e-haqir se
jo sakinan-e-arsh ko muhit mein liye hue

zamin ki samt hain rawan
raushni mein gum hun main

raushni meri numud
nazara-e-tajalli-e-hayat hun

tab kis nazar mein hai
tajalli-e-hayat ki na tab la sakoge tum

meri talash mat karo na mujh ko pa sakoge tum
baid-az-qayas

ma-wara-e-fikr-o-agahi
tamam kaenat ki hadon se par zindagi

danish o khirad ki be-shumar manzilen
be-shumar manzilen milin

faza-e-be-zaman o be-makan ki justuju mein gum
tayyun aur maqam ka asir

mein kabhi na tha kabhi nahin
agar tayyunat se pare na ja sakoge tum

meri talash mat karo na mujh ko pa sakoge tum
meri talash mat karo na mujh ko pa sakoge tum

shabih-e-rang-rup
in quyud se bari hun main

khayal-e-zat aur tasawwur-e-wajud se buland hun
batao in bulandiyon tak aaj aa sakoge tum

khud apne aap se kabhi nazar mila sakoge tum
meri talash mat karo mujhe na pa sakoge tum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close