mis simin badan

ek mis simin badan se kar liya london mein aqd
is khata par sun raha hun tana-ha-e-dil-kharash
koi kahta hai ki bas us ne bigadi nasl-e-qaum
koi kahta hai ki ye hai bad-khisal-o-bad-maash
dil mein kuchh insaf karta hi nahin koi buzurg
ho ke ab majbur khud is raaz ko karta hun fash
hoti thi takid london jao angrezi padho
qaum-e-english se milo sikho wahi waza-e-tarash
jagmagate hotalon ka ja ke nazzara karo
soup o karri ke maze lo chhod kar yakhni o aash
leadiyon se mil ke dekho un ke andaz-o-tariq
hall mein nacho clab mein jake khelo un se tash
baada-e-tahzib-e-europe ke chadhao khum ke khum
asia ke shisha-e-taqwa ko kar do pash pash
jab amal is par kiya pariyon ka saya ho gaya
jis se tha dil ki hararat ko sarasar inteash
samne thin leadiyan zehara-wash o jadu-nazar
yan jawani ki umang aur un ko aashiq ki talash
us ki chitwan sehar-agin us ki baaten dil-ruba
chaal us ki fitna-khez us ki nigahen barq-pash
wo farogh-e-atish-e-rukh jis ke aage aaftab
is tarah jaise ki pesh-e-shama parwane ki lash
jab ye surat thi to mumkin tha ki ek barq-e-bala
dast-e-simin ko badhati aur main kahta dur-bash?
donon jaanib tha ragon mein josh-e-khun-e-fitna-za
dil hi tha aakhir nahin thi barf ki ye koi qash
bar bar aata hai 'akbar' mere dil mein ye khayal
hazrat-e-sayyad se jakar arz karta koi kash
'darmiyan-e-qar-e-dariya takhta-bandam-karda-i
baz-mi-goi ki daman-e-tar makun-hushyar-bash
This is a great miss shayari. True lovers of namastey london shayari will love this. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close