miTTi ka diya

dekho bachcho main hun mitti ka diya
be-haqiqat hun magar hun kaam ka

gas batti shama barqi qumqume
jitne bhi hain sab hain meri nasl ke

khamushi se raat bhar jalta hun main
par zaban se uf nahin karta hun main

khud jala karta hun auron ke liye
dukh saha karta hun ghairon ke liye

mujh se hai raushan andheri raat hai
meri fitrat mein ye kaisi baat hai

jhonpadi mein bhi hai mahfil mein guzar
mehrban yaksan hun main har ek par

faeda pahunchata hun har ek ko
hindu ho muslim ho ya isai ho

main samajhta hi nahin hun zat-pat
meri nazron mein hai insan ek zat

raushni pahunchana mera kaam hai
aap ki khidmat mera inam hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close