miTTi ki pyali

chakkar khati charkhi par
ghum kar tere hathon mein

pani ke chand hi qatron se
main apne aap simat jati

kabhi gol rakabi ke jaisi
kabhi chipti kason ki pyali

kabhi garm alaw aur thande jazbe
main apne andar samo jati

meri qimat tu ne kya jaani
jab aala kanch ke bartan aae

tu ne jhat se mujh ko tod diya
mere bhole pyare sathi re

tu farq na itna jaan saka
kaghaz ke naqli phulon mein

aur narm gulab ki patti mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close