muhaqqiq

ye jo ek hazrat chale aate hain goristan se
ye na samjhen aap hain be-zar apni jaan se

aap ko yunhi hai aasar-e-qadima se lagaw
jis tarah chuna dali, katthe ko nisbat pan se

aap ko qabron se ulfat ishq virane se hai
aap ghabraate hain jite-jagte insan se

koi kitna hi bada ho falsafi shaer adib
umr bhar is se raha karte hain aap anjaan se

han magar jaise hi pa jata hai be-chaara wafat
aap us ko chahne lagte hain ji se jaan se

sunghte hain der tak marhum ki khak-e-lahad
phir ye farmate hain uth kar aalimana shan se

tul-o-arz-e-qabr se ye saf chalta hai pata
gorkan aae the atraf-e-balochistan se

ye tha ek rukh sahib-e-tahqiq ki taswir ka
dusra rukh bhi bayan karta hun, suniye dhyan se

hain ba-zom-e-khud muhaqqiq aap hindostan ke
aap ne nuqte gine hain 'mir' ke diwan ke

katte hain sut ko tahqiq ke itna mahin
aap ke aage jolahe mat hain iran ke

zer-e-tahqiq aap ke rahte hain ye sab masale
kis qadar chuhe pale the ghar mein 'momin'-khan ke

panch baj kar panch par ya panch baj kar sat par
'dagh' ne toda tha dam zanu pe munni-jaan ke

'rind' ne ek bewafa ke ishq mein khai thi jo
wo chhuri ke zakhm the ya ghaw the kirpan ke

dhun hai ye sabit karen, dilli tha 'miltan' ka watan
aur 'sauda' ke chacha butcher the inglistan ke

al-gharaz rahti hai roz o shab yahi bas ek fikr
koi gul-dasta utaren taq se nisyan ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close