mujh sa mabhut aashiq

kaisi makhluq thi
aag mein us ka ghar tha

alaw ki hiddat mein
mawwaj lahron ko

apne badan ki malahat mein
mahsus karti thi

lekin wo andar se
apne hi pani se darti thi

kitne hi ushshaq
apni jawani mein

pani mein
ek saniya

us ko chhune ki khwahish mein
niche umuq mein bahut niche utre

magar phir na ubhre
samundar ne manthan se

un ke wajudon ko zam kar liya
dudhiya jhag ne

aur kohna namak ne
unhen apni tezabiyat mein ghulaya

bhadakti hui aag ne
jazr-o-mad mein lapeta unhen

sar se pa tak jalaya
magar koi shoalon se kundan sa

sipon se moti sa
bahar na aaya

wo ab bhi samundar mein
ithlati sathon ke nile bahaw mein

apne alaw mein
qasr-e-zamurrad mein tanha bhatakti hai

ek ba-aha aab-o-atish mein
rangon ki barish mein

ab bhi wo zulfen jhatakti hai
to ud-o-ambar ki mahkar aati hai

qatraat ud kar
dahan kitne ghongon ka bharte hain

us ki jhalak dekhne ke liye
aaj bhi log marte hain

ab bhi yahan kashtiyon aab-dozon
jahazon ke arshon pe

us ki hi baaten hain
duniya ke sayyah

saton samundar ke mallah
us ke na hone pe

hone pe takrar karte hain
us ki kashish mein

bahut dur ke paniyon mein
safar ke liye

khud ko tayar karte hain
main bhi yahan

muztarib aur behaal
khasta-o-parina takhte pe bahta hua

ek khufta jazire ke nazdik
kya dekhta hun

ki wo ek patthar pe baithi hai
pani pe tari hai

ek kaif sa
chandni ki lapak

aur hawa ki madhur lai pe
machhli sa niche ka dhad us ka

shaffaf pani mein hilta hai
abreshmin nur mein

aks-e-simab sa
us ke galna chehre pe khilta hai

ab dekhiye
mujh sa mabhut aashiq

use apni aaghosh mein kaise bharta hai
gharqab hota hai

marta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close