mujhe sochne de

meri nakaam mohabbat ki kahani mat chhed
apni mayus umangon ka fasana na suna

zindagi talkh sahi zahr sahi sam hi sahi
dard o aazar sahi jabr sahi gham hi sahi

lekin is dard-o-gham o jabr ki wusat ko to dekh
zulm ki chhanw mein dam todti khilqat ko to dekh

apni mayus umangon ka fasana na suna
meri nakaam mohabbat ki kahani mat chhed

jalsa-gahon mein ye dahshat-zada sahme amboh
rahguzaron pe falakat-zada logon ke giroh

bhuk aur pyas se pazh-murda siyah-fam zamin
tira-o-tar makan muflis o bimar makin

nau-e-insan mein ye sarmaya o mehnat ka tazad
amn o tahzib ke parcham tale qaumon ka fasad

har taraf aatish o aahan ka ye sailab-e-azim
nit-nae tarz pe hoti hui duniya taqsim

lahlahate hue kheton pe jawani ka saman
aur dahqan ke chhappar mein na batti na dhuan

ye falak-bos milen dilkash o simin bazar
ye ghalazat pe jhapatte hue bhuke nadar

dur sahil pe wo shaffaf makanon ki qatar
sarsaraate hue pardon mein simatte gulzar

dar-o-diwar pe anwar ka sailab-e-rawan
jaise ek shaer-e-madhosh ke khwabon ka jahan

ye sabhi kyun hai ye kya hai mujhe kuchh sochne de
kaun insan ka khuda hai mujhe kuchh sochne de

apni mayus umangon ka fasana na suna
meri nakaam mohabbat ki kahani mat chhed


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close