mukafat

aao ki mai-kadon mein guzaren tamam raat
tanhaiyon mein sohbat-e-jam-o-subu rahe

khamoshiyon mein kaifiyat-e-guftugu rahe
yaadon ke pech-o-kham ko sanwaren tamam raat

zahr-e-hayat dil mein utaren tamam raat
ye dar jo band ho to kahin aur uth chalen

zulmat badhe to aatish-e-gham tez-tar karen
parwana-war jal ke banen khak-e-rah-nashin

amboh-e-gard-baad mein raqs sharar karen
uftadgi mein aarzu-e-baal-o-par karen

le jaen kis ke pas ye dagh-e-khud-agahi
ai soz-e-hijr koi tera raaz-dan nahin

ye shahr-e-na-shanas ye virani-e-hujum
is qafile mein ahl-e-nazar ka nishan nahin

sab ajnabi hain koi yahan ham-zaban nahin
baithen shafaq ke sae mein khun-e-jigar piyen

aao ki rasm-e-ahl-e-kharabaat hai yahi
har ishq-e-sakht-jaan ki mukafat hai yahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close