murda-KHana

duniya ki ila-billa thasi padi hai mujh mein
han kuchh kaam ki chizen bhi hain is kabad-khane mein

ilhami kitabon se le kar falsafa-e-adab aur shairi tak ki
libraryan bhari padi hain dimagh mein

aankhon mein utar kar dekhen to husn-e-do-alam paenge jalwa-afroz
pure pure nigar-khane mere bhi sanam-khane tere bhi sanam-khane

kanon mein baithuon se le kar kop-land ki samfaniyan
aur tansen ki bandishon se raushan-ara begam ki gaiki tak mahfuz hai aaj bhi

lekin gand to macha rakkha hai mere jism ne
aur is ke andar dhadakte dil ne

gandagi ka dipo hai mera ye jism
balki karkhana hai gandagi ka

achchhi se achchhi chiz dalen aap is mein
bol-o-baraaz bana kar rakh deta hai use

dal kar dekhen han han ye phal dalen ye mithai
ye tikke aur kabab dalen is mein

aur phir nak par rumal rakh kar dekhen ki banta kya hai in ka
khair jahan kar-khane hun wahan gandagi to hoti hai laziman

gandagi na ho to aaludgi sahi
id-e-qurban par shahr ka chakkar to lagya hi hoga aap ne

aziz-o-aqarib se milne ke liye
jo kuchh sadkon aur galiyon mein nazar aata hai ojhadiyon aur aanton se ubalta hua

wahi kuchh hai mere andar bhi
ye to meri khaal ka kamal hai jo aap ne pas bitha rakkha hai mujhe

aur agar aap mein jhankne ki himmat ho mere dil mein
to shayad abhi utha den apne pas se mujhe

karda gunahon ki nahin na-karda gunahon ki baat kar raha hun main
khwahishon aur hasraton ke janaze pade hain

mere dil mein qatar-andar-qatar
main ne tashbih di thi kabad-khane se apne aap ko

asal mein to ek bahut bada murda-khana hun main
fasadat mein qatl-e-am dekha ho shayad aap ne

zalzale mein mare jaane walon ki lashen nikalte to dekha hoga logon ko
ya phir telewision par bosina aur koswo mein ijtimai qabron ki khudai ke manazir

jab lawahiqin koshish kar rahe hote hain lashon ko pahchanne ki
aur nak phat rahe hote hain un ke sadand se

jald-az-jald dobara dafna di jati hain ye lashen
lekin mere dil mein khwahishon aur hasraton ki lashen gal-sad gai hain pade pade

aur main phir bhi dafan nahin karta unhen
dafn karna chahta hi nahin

aur chahun bhi to kahan karun dafn unhen
dimagh mein

dimagh mein kulbulata hafiza kahan mohlat deta hai us ki
dil hi to hai jis mein dafna sakta hun unhen

inhi murda khwahishon aur hasraton ko dekh dekh kar to jita hun main
ye to dafan hongi mere sath hi

aur ab samajh mein aata hai ki kyun banai jati hain badi badi qabren
baadshah log to marne se pahle hi banwa liya karte the apne maqbare aur ehram

mujhe ghin aati thi badi badi qabron se
main kaha karta tha dekho un mal-zadon ko

zindagi mein bhi ghere rakhte the zarurat se ziyaada zamin
aur mar kar bhi itni jagah gher lete hain ki khuda ki zinda makhluq ko mayassar nahin sar chhupane ko

mar kar bhi nahin mitti zamin ki hirs un ki
magar ab sochta hun shayad unhen waqai zarurat ho badi qabron ki

shayad un ke andar pade hun mujh se bhi ziyaada janaze
khwahishon aur hasraton ke

shayad un ki ojhadiyon aur aanton mein ghalazat ho mujh se bhi ziyaada
waise kahin main bhi to jawaz nahin dhundh raha apne liye kushada qabr ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close