ufuq ta ufuq nilgun aasman musafir parindon ki manzil kahan bahut dur pichhe ko us bahr ke mawara utarti rahi barf jamti rahi tah-ba-tah aashiyanon ke pas tab nazare nazar-ashna izn-e-awargi zad-e-afsurdagi de ke tharrae ba-chashm-e-tar ki shayad bahut dur aage ko us bahr ke mawara zamurrad jude sahilon ne suna ho salam id ka dhup ke jashn aahaten naghma-e-garm khurshid ka ufuq ta ufuq nilgun aasman koi shakh-e-gul hai na koi munder ghadi-do-ghadi pankhudi jaise par jod kar baith jaen jahan ghadi-do-ghadi chahchahaen jahan koi apne dukhte ko ko agar agar mein gir gaya zara bhi fazaon ka daman na bhiga na wahshi hawaon ka tufan ruka sitare ba-dastur nilahaton mein chamakte rahe misl-e-gardab gardan shab-o-roz ki charkhiyan musafir parindon ki manzil kahan bahut dur pichhe ko us bahr ke mawara har nai dil-kusha agni munjamid zer-e-ahram yakh-mahw-e-khwab saz nahron ke darbar-e-fasl-e-bahaaran ke tabut sadr nag tilon ke phulon ke taj-o-guhar munjamid zindagi ki fughan bahut dur aage ko us bahr ke mawara wo ek raushni ka jahan wo ek gul pas-e-khar-zar wo ek dana-e-zer-e-dam use dekhna aur thithakna bhi kya chiz hai magar aah us mod par aaj parwaz-o-awaz thi hasil-e-musht par hasil-e-dastan