nae shahron ki buniyaad

un ki bargah mein
jangal ke sher

jarob-kashi karte hain
maut ne un se wada kiya tha

aag nahin jalaegi
satwin nasl tak

lekin main hun
aathwin nasl mein

main ne un ki safed khushbu ko mahsus kiya hai
un ki dastar ka

ek sira mashriq mein gum hai
ek sira ek aur mashriq mein gum hai

wo suraj ke aage aage qaba pahan kar chalte hain
hum apni hadon mein simte hue

unhen dekhte hain
aur kahte hain nae shahron ki buniyaad wahi rakhte hain

jo jangal ke sheron ko
jarob-kashi par mamur kar den

hum to
apne ghodon ki gardan par

bag bhi nahin chhod sakte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close