naghma-e-dil-e-soz

hai mizaj us waqt kuchh bigda hua sayyaad ka
ai asiran-e-qafas mauqa nahin fariyaad ka

kitna dard-amez tha naghma dil-e-nashad ka
tir tarkash mein tadap uttha sitam ijad ka

dastan-e-alam-e-furqat kisi se kya kahen
ho gaya barbaad har zarra dil-e-nashad ka

aap ko milna nahin manzur lo marta hun main
muntazir baitha hua tha aap ke irshad ka

ai dil-e-nashad mujh ko teri wahshat dekh kar
yaad aa jata hai qissa qais aur farhad ka

aae wo bahr-ayaadat dal kar rukh par naqab
rah gaya arman dil mein aashiq-e-nashad ka

aap farmate hain tu ne raat ko nale kiye
banda-parwar 'auj' tu aadi nahin fariyaad ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close