nahin kahin bhi nahin

zindagi milti hai
lekin munh chhupa kar

hum us ka munh tatolte hain
kya yahi hai zindagi

lekin nahin wo bahut makkari se
hum se munh mod kar chali jati hai

chhodti hai apne pichhe ek lakir
hamari khushiyon ko lapet kar

ye ja wo ja
hum us lakir ke pichhe bhagte hain bhagte rahte hain

yahan tak ki hum khud ko bhi kho baithte hain
rah jata hai

bas ek dhuan
jo koi lapet kar le jata hai

aur bant deta hai
un logon mein jo hum se mohabbat karte the nafrat ki ki aad mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close