naqsh-e-faryaadi

wae nadariyan hae majburiyan
rasm-o-adab ke bas mein hai zindagi

ghair ki ho ke pardes jati ho tum
hasrat-o-yas-o-hirman mein dubi hui

jaise shadab si jhil mein ek kanwal
chadhte suraj ki tezi se kumlae hai

ya ba-ahd-e-bahaaran kisi ek sabab
jaise phulon se rangat utar jae hai

har saheli tabassum-ba-lab hai magar
tum hi maghmum ho tum hi khamosh ho

jaise gulchin ka sare chaman-zar mein
ek kali par hi kuchh zulm ho dosh ho

khamushi sad zaban-o-bayan ki tarah
apni duniya ke dukh dard kahti hui

phir bhi apnon se begangi si liye
waqt ki dhaar par naw bahti hui

wo udasi ki huron ko afsos ho
hon farishte bhi aisi faza mein khajil

aur kis kis ko ai 'daur' ilzam dun
kuchh pasija to hoga khuda ka bhi dil


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close