nauha

siyah-raat mein timtimate sitaron ke niche
kharoshan samundar ki maujen tujhe dhundhti hain

kharoshan hawa ki sadaon mein teri sada hai
mera dil tujhe dhundhta hai

siyah-raat ashkon ki shabnam mein soi hui hai
har ek pal har ek lamha mazi ka

zinda hai maujud mein jagta hai
magar tera paikar

tah-e-khak andheron ke maman mein soya hua hai
mera dil ki matam-gar-e-raftagan hai

tujhe dhundhta hai
main aasuda-e-reg-e-khamosh

us raat ki jalti aankhon ko dekhun
siyah-raat mein timtimate hue

un sitaron se puchhun
kharoshan samundar mein duba hua chand

kisi ajnabi sar zamin par tabassum-kunan hai
nuqush-e-kaf-e-pa ki manzil kahan hai?

yam-e-zindagi sail-dar-sail bahta hua
ek lamhe ko ruk kar palat kar na dekhe

siyah-raat mein timtimate sitaron ke niche
faqat ek shab be-sada jagti hai

shab-e-be-sada puchhti hai
bipharti hui mauj-e-dariya kidhar se chali thi?

kidhar ko chali hai?
mera dil ki matam-gar-e-raftagan hai

kise dhundhta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close