naya sal

aas-nagar mein rahne wale sada sachche logo
nind ka mausam bit gaya hai apni aankhen kholo

kal kya khoya kal kya paya aao hisab lagaen
aane wala kal kya hoga aao nisab banaen

jaane wale kal mein hum ne dukh ke sahra dekhe
aash nirash mein ghulti dekhi gham ke dariya dekhe

sukhe jismon wale dekhe bhuke nange sae
lamha lamha reng rahe the sab kashkol uthae

jaane wale kal mein hum ne dastaron ko becha
unche aiwanon mein hum ne siparon ko becha

jaane wale kal mein hum ne dukh ki fasl ko kata
basti basti bhuk iflas ki udti khak ko chata

khali hath aur viran aankhen panw zanjir padi
chaaron jaanib zahr samundar sar pe dhup kadi

dharti par barud ugaya amn ke gane gae
ek-duje ke khun se hum ne kaise jashn manae

aane wala kal kya hoga aao khoj lagaen
diwaron pe zaiche khinchen na-malum ko paen

aane wale kal mein shayad khwabon ki tabir mile
bhuki khilqat rizq ko dekhe insan ko tauqir mile

bachchon ki talim ke nam pe man na zewar beche
is dharti par ab na koi zahr samundar sinche

aas-nagar mein rahne wale sada achchhe logo
mumkin ho to kal ka socho apni aankhen kholo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close