naya sal aaya naya sal aaya umidon ka dil mein diya jagmagaya nae sal ka hum ko paigham kya hai nae sal mein ab naya kaam kya hai purana tariqa badalna hai hum ko taraqqi ki rahon pe chalna hai hum ko andhere ke daman ko hum chaak kar den watan ki fazaon ko nur-e-sahar den sunen dard-mandon ki fariyaad kya hai gharibon pe dar-asl uftad kya hai uthen aur dukhiyon ka dukh dur kar den masarrat se har dil ko mamur kar den nai raushni se faza jagmagaen nae saz par ab nae git gaen