nazm

tah-ba-tah dil ki kudurat
meri aankhon mein umand aai to kuchh chaara na tha

chaara-gar ki man li
aur main ne gard-alud aankhon ko lahu se dho liya

main ne gard-alud aankhon ko lahu se dho liya
aur ab har shakl-o-surat

aalam-e-maujud ki har ek shai
meri aankhon ke lahu se is tarah ham-rang hai

khurshid ka kundan lahu
mahtab ki chandi lahu

subhon ka hansna bhi lahu
raaton ka rona bhi lahu

har shajar minar-e-khun har phul khun-dida hai
har nazar ek tar-e-khun har aks khun-baalida hai

mauj-e-khun jab tak rawan rahti hai us ka surkh rang
jazba-e-shauq-e-shahadat dard, ghaiz o gham ka rang

aur tham jae to kajla kar
faqat nafrat ka shab maut ka

har ek rang ke matam ka rang
chaara-gar aisa na hone de

kahin se la koi sailab-e-ashk
aab-e-wazu

jis mein dhul jaen to shayad dhul sake
meri aankhon meri gard-alud aankhon ka lahu


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close